A stranger 

Haseen chehre pe komal zulfo ka saya tha,

Haseen chehre pe komal zulfo ka saya tha,

Kudrat ne bhi kya khel rachaya tha.
Mausam karvat le rha tha, badal bhi barasne ko bekarar the, hawa bhi apne rukh mod rhi thi.
Palke jhuki thi, saans matham thi, mahol bhi khushnumaya hua tha, 

Nazre nazro se milne ko taras rahe the, Honth kuch kehne ko taras rahe the,

Tumhari Khoobsurati ka bayan karna mushkil tha. 
Hum toh mann mei khud ko thukra chuke the ae ajnabi par,

tumhari halki si muskan ka asar kuch aisa hua jaise banjar zameen par barish barsi ho 
Haseen chehre pe komal zulfo ka saya tha,

Haseen chehre pe komal zulfo ka saya tha,

Kudrat ne bhi kya khel rachaya tha.

11 thoughts on “A stranger 

Leave a comment